SEARCH RESULTS
Showing search results for "irshaad"
Sher MATCHES FOR "irshaad"
Sher
ye intizaar nahii.n sham.a hai rifaaqat kii
is intizaar se tanhaa.ii KHuub-suurat hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
baat kaa zaKHm hai talvaar ke zaKHmo.n se sivaa
kiijiye qatl magar mu.nh se kuchh irshaad na ho
Dagh Dehlvi
Sher
khii.nch laa.ii hai mohabbat tire dar par mujh ko
itnii aasaanii se varna kise haasil hu.aa mai.n
Irshad Khan Sikandar
Sher
soz-e-Gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kuchh sitaare mirii palko.n pe chamakte hai.n abhii
kuchh sitaare mire siine me.n samaa.e hu.e hai.n
Arshad Abdul Hamid
Sher
Arshad Jamal Sarim
Sher
buu.Dhii maa.n kaa shaayad lauT aayaa bachpan
gu.Diyo.n kaa ambaar lagaa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Sher
Josh Malihabadi
Sher
mumkin hai yahii dil ke milaane kaa sabab ho
ye rut jo hame.n haath milaane nahii.n detii
Arshad Jamal Sarim
Sher
kal terii tasviir mukammal kii mai.n ne
fauran us par titlii aa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Sher
zamii.n ke paas kisii dard kaa ilaaj nahii.n
zamiin hai ki mire ahd kii siyaasat hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
dil ko ma.aluum hai kyaa baat bataanii hai use
us se kyaa baat chhupaanii hai zabaa.n jaantii hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
rishta bahaal kaash phir us kii galii se ho
jii chaahtaa hai ishq dobaara usii se ho
Irshad Khan Sikandar
Sher
na jaane us ne khule aasmaa.n me.n kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas me.n lauT aayaa
Arshad Jamal Sarim
Sher
Arshad Jamal Sarim
Sher
hamii.n tum se hamesha milne aa.e.n kyuu.n
tumhaare paa.nv me.n meh.ndii lagii hai kyaa
Irshad Khan Sikandar
Sher
Arshad Abdul Hamid
Sher
zindagii tuu bhii hame.n vaise hii ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barso.n se guzaare hu.e hai.n