SEARCH RESULTS
Showing search results for "ka.Dvaa"
Sher MATCHES FOR "ka.Dvaa"
Sher
ye ka.Dvaa sach hai yaaro.n muflisii kaa
yahaa.n har aa.nkh me.n hai.n TuuTe sapne
Mahaveer Uttaranchali
Sher
Badr Muneer
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
kaThin hai raahguzar tho.Dii duur saath chalo
bahut ka.Daa hai safar tho.Dii duur saath chalo
Ahmad Faraz
Sher
Shamim Abbas
Sher
jab mai-kada chhuTaa to phir ab kyaa jagah kii qaid
masjid ho madrasa ho ko.ii KHaanqaah ho
Mirza Ghalib
Sher
jise ishrat-kada-e-dahr samajhtaa thaa mai.n
aaKHir-e-kaar vo ik KHvaab-e-pareshaa.n niklaa
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
tishnagii hii tishnagii hai kis ko kahiye mai-kada
lab hii lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahe.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
khilte hai.n dil me.n phuul tirii yaad ke tufail
aatish-kada to der hu.ii sard ho gayaa
Muzaffar Hanfi
Sher
ranj-o-Gam dard-o-alam zillat-o-rusvaa.ii hai
ham ne ye dil ke lagaane kii sazaa paa.ii hai
Fida Kadvi
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
ghii misrii bhii bhej kabhii aKHbaaro.n me.n
ka.ii dino.n se chaa.e hai ka.Dvii yaa allaah
Nida Fazli
Sher
ye Gam-kada hai is me.n 'mubaarak' KHushii kahaa.n
Gam ko KHushii banaa ko.ii pahluu nikaal ke
Mubarak Azimabadi
Sher
mai-kada hai shaiKH saahab ye ko.ii masjid nahii.n
aap shaayad aa.e hai.n rindo.n ke bahkaa.e hu.e