SEARCH RESULTS
Showing search results for "kada"
Sher MATCHES FOR "kada"
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Shamim Abbas
Sher
kaThin hai raahguzar tho.Dii duur saath chalo
bahut ka.Daa hai safar tho.Dii duur saath chalo
Ahmad Faraz
Sher
jise ishrat-kada-e-dahr samajhtaa thaa mai.n
aaKHir-e-kaar vo ik KHvaab-e-pareshaa.n niklaa
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
jab mai-kada chhuTaa to phir ab kyaa jagah kii qaid
masjid ho madrasa ho ko.ii KHaanqaah ho
Mirza Ghalib
Sher
tishnagii hii tishnagii hai kis ko kahiye mai-kada
lab hii lab ham ne to dekhe kis ko paimaana kahe.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
khilte hai.n dil me.n phuul tirii yaad ke tufail
aatish-kada to der hu.ii sard ho gayaa
Muzaffar Hanfi
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
Mirza Ghalib
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa