SEARCH RESULTS
Showing search results for "karam"
Sher MATCHES FOR "karam"
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
gunaah gin ke mai.n kyuu.n apne dil ko chhoTaa karuu.n
sunaa hai tere karam kaa ko.ii hisaab nahii.n
Yagana Changezi
Sher
ham un ke sitam ko bhii karam jaan rahe hai.n
aur vo hai.n ki is par bhii buraa maan rahe hai.n
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
parda-e-lutf me.n ye zulm-o-sitam kyaa kahiye
haa.e zaalim tiraa andaaz-e-karam kyaa kahiye
Firaq Gorakhpuri
Sher
dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho
unhe.n to dekhne vaalo.n pe ha.nsii aatii hai
Sudarshan Faakir
Sher
'hasrat' kii bhii qubuul ho mathuraa me.n haazirii
sunte hai.n aashiqo.n pe tumhaaraa karam hai aaj
Hasrat Mohani
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
aatii hai dhaar un ke karam se shu.uur me.n
dushman mile hai.n dost se behtar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Sher
uThe hai.n haath to apne karam kii laaj bachaa
vagarna merii du.aa kyaa mirii talab kyaa hai
Siddique Mujibi
Sher
gunaaho.n se hame.n raGbat na thii magar yaa rab
tirii nigaah-e-karam ko bhii mu.nh dikhaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
kab kiyaa thaa is dil par husn ne karam itnaa
mehrbaa.n aur is darja kab thaa aasmaa.n apnaa
Asrarul Haq Majaz
Sher
naukaro.n par jo guzartii hai mujhe ma.aluum hai
bas karam kiije mujhe bekaar rahne diijiye
Akbar Allahabadi
Sher
jo bhii de de vo karam se vahii le le 'naadir'
mu.nh se maa.ngo to KHudaa aur KHafaa hotaa hai
Nadir Shahjahanpuri
Sher
ye zindagii ke ka.De kos yaad aate hai.n
tirii nigaah-e-karam kaa ghanaa ghanaa saayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
mirii sharaab kaa shohra hai ab zamaane me.n
so ye karam hai to kis kaa hai ab bhii aa jaa.o
Jaun Eliya
Sher
miiThii baate.n, kabhii talKH lahje ke tiir
dil pe har din hai un kaa karam bhii nayaa