SEARCH RESULTS
Showing search results for "kasne"
Sher MATCHES FOR "kasne"
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
Allama Iqbal
Sher
kuchh bhii bachaa na kahne ko har baat ho ga.ii
aa.o kahii.n sharaab piye.n raat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne me.n mujh ko zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
ab vahii karne lage diidaar se aage kii baat
jo kabhii kahte the bas diidaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitnii aurato.n kii bad-du.aa.e.n saath hai.n
Bashir Badr
Sher
pe.D ke kaaTne vaalo.n ko ye maaluum to thaa
jism jal jaa.e.nge jab sar pe na saaya hogaa