SEARCH RESULTS
Showing search results for "khizr"
Sher MATCHES FOR "khizr"
Sher
masiih-o-KHizr kii umre.n nisaar ho.n us par
vo ek lamha jo yaaro.n ke darmiyaa.n guzre
Majeed Amjad
Sher
maze jo maut ke aashiq bayaa.n kabhuu karte
masiih o KHizr bhii marne kii aarzuu karte
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
ho umr-e-KHizr bhii to ho ma.aluum vaqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaa.n abhii aa.e abhii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
hayaat-e-KHizr de yaarab mire tahammul ko
shab-e-firaaq agar muKHtasar nahii.n na sahii
Mahram Lakhnavi
Sher
mujh ko na sunaa KHizr o sikandar ke fasaane
mere liye yaksaa.n hai fanaa ho ki baqaa ho
Hafeez Jalandhari
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
hariif-e-matlab-e-mushkil nahii.n fusuun-e-niyaaz
du.aa qubuul ho yaa rab ki umr-e-KHizr daraaz!
Mirza Ghalib
Sher
aab-e-hayaat jaa ke kisuu ne piyaa to kyaa
maanind-e-KHizr jag me.n akelaa jiyaa to kyaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
tumhaare hote hu.e log kyuu.n bhaTakte hai.n
kahii.n pe KHizr nazar aa.e to savaal karuu.n
Ghazanfar
Sher
yaarab mire gunaah kyaa aur ehtisaab kyaa
kuchh dii nahii.n hai KHizr sii umr-e-ravaa.n mujhe
Anees Ahmad Anees
Sher
KHizr se kah do ki aa kar dekh le.n aab-e-hayaat
dho.e jaate hai.n nicho.De jaa.e.nge gesuu-e-dost
Sayyad Ahmad Hussain Shafiq Lakhnavi
Sher
sar-chashma-e-baqaa se hargiz na aab laa.o
hazrat KHizar kahii.n se jaa kar sharaab laa.o