SEARCH RESULTS
Showing search results for "kutar"
Sher MATCHES FOR "kutar"
Sher
kaise aakaash me.n suuraaKH nahii.n ho saktaa
ek patthar to tabii.at se uchhaalo yaaro
Dushyant Kumar
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii
ho kahii.n bhii aag lekin aag jalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
kahaa.n to tai thaa charaaGaa.n har ek ghar ke liye
kahaa.n charaaG mayassar nahii.n shahar ke liye
Dushyant Kumar
Sher
tumhaare paa.o.n ke niiche ko.ii zamiin nahii.n
kamaal ye hai ki phir bhii tumhe.n yaqiin nahii.n
Dushyant Kumar
Sher
sirf ha.ngaama kha.Daa karnaa miraa maqsad nahii.n
merii koshish hai ki ye suurat badalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hai.n mujhe chho.D ke jaane vaale
Vipul Kumar
Sher
Kumar Pashi
Sher
Dushyant Kumar
Sher
us hijr pe tohmat ki jise vasl kii zid ho
us dard pe la.anat kii jo ash.aar me.n aa jaa.e
Vipul Kumar
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n