SEARCH RESULTS
Showing search results for "kuu-e-abas"
Sher MATCHES FOR "kuu-e-abas"
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
ab kaun phire kuu-e-but-e-dushman-e-dii.n se
allaah ke ghar kyuu.n na chale jaa.e.n yahii.n se
Muztar Khairabadi
Sher
Jameel Mazhari
Sher
ai aaftaab haadii-e-kuu-e-nigaar ho
aa.e bhalaa kabhii to hamaare bhii kaam din
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
ye kuu-e-mai-farosh me.n raulaa hu.aa ki raat
dahshat se vaa.n Thahar na sakaa paa-e-mohtasib
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Amir Usmani
Sher
galii ke baahar tamaam manzar badal ga.e the
jo saaya-e-kuu-e-yaar utraa to mai.n ne dekhaa
Muneer Niyazi
Sher
kis shaan se ga.e hai.n shahiidaan-e-kuu-e-yaar
qaatil bhii haath uThaa ke shariik-e-du.aa hu.e
Hameed Jalandhari
Sher
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
KHaak aab-e-girya se aatish bujhe naa-chaar ham
jaanib-e-kuu-e-butaa.n juu.n baad-e-sarsar jaa.e.nge
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
Safdar Mirzapuri
Sher
rishta-e-ulfat rag-e-jaa.n me.n buto.n kaa pa.D gayaa
ab ba-zaahir shaGl hai zunnaar kaa fe.al-e-abas
Bahram ji
Sher
puuchhaa sabaa se us ne pataa kuu-e-yaar kaa
dekho zaraa shu.uur hamaare Gubaar kaa