SEARCH RESULTS
Showing search results for "lafz"
Sher MATCHES FOR "lafz"
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Wasi Shah
Sher
lafz o manzar me.n ma.aanii ko TaTolaa na karo
hosh vaale ho to har baat ko samjhaa na karo
Mahmood Ayaz
Sher
Munawwar Rana
Sher
na jaane sher me.n kis dard kaa havaala thaa
ki jo bhii lafz thaa vo dil dukhaane vaalaa thaa
Saleem Ahmed
Sher
dil pe kuchh aur guzartii hai magar kyaa kiije
lafz kuchh aur hii iz.haar kiye jaate hai.n
Jaleel 'Aali'
Sher
Hasrat Mohani
Sher
umr bhar likhte rahe phir bhii varaq saada rahaa
jaane kyaa lafz the jo ham se na tahriir hu.e
Sabir Zafar
Sher
mai.n lafz lafz me.n tujh ko talaash kartaa huu.n
savaal me.n nahii.n aataa na aa javaab me.n aa
Karamat Ali Karamat
Sher
vaqt-e-ruKHsat alvidaa.a kaa lafz kahne ke liye
vo tire suukhe labo.n kaa thartharaanaa yaad hai
Unknown
Sher
ab tuu darvaaze se apne naam kii taKHtii utaar
lafz na.nge ho ga.e shohrat bhii gaalii ho ga.ii
Iqbal Sajid
Sher
ab samajh lete hai.n miiThe lafz kii ka.DvaahaTe.n
ho gayaa hai zindagii kaa tajraba tho.Daa bahut
Manzar Bhopali
Sher
Shamim Hanafi
Sher
vo chehra haath me.n le kar kitaab kii suurat
har ek lafz har ik naqsh kii adaa dekhuu.n