SEARCH RESULTS
Showing search results for "lahr"
Sher MATCHES FOR "lahr"
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
Ambarin Salahuddin
Sher
ye mauj mauj banii kis kii shakl sii 'taabish'
ye kaun Duub ke bhii lahr lahr phail gayaa
Abbas Tabish
Sher
bandisho.n ko to.Dne kii koshishe.n kartii hu.ii
sar paTaktii lahr terii aajizii achchhii lagii
Aleena Itrat
Sher
dard kii lahr me.n zindagii bah ga.ii
umr yuu.n kaT ga.ii hijr kii shaam me.n
Najma Shaheen Khosa
Sher
baguula ban ke samundar me.n KHaak u.Daanaa thaa
ki lahr lahr mujhe tund-KHuu bhii honaa thaa
Iqbal Sajid
Sher
naama-bar ko.ii nahii.n hai to kisii lahr ke haath
bhej saahil kii taraf apnii KHabar paanii se
Sabir Zafar
Sher
lahr KHud par hai pashemaan ki us kii zad me.n
nanhe haatho.n se banaa ret kaa ghar aa gayaa hai
Zia Zameer
Sher
phir aa.ii zulf-e-musalsal kii lahr pesh-e-nazar
phir ik junuu.n ke na.e silsile hu.e dil me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jaane ye hiddat chaman ko raas aa.e yaa nahii.n
aag jaisii kaifiyat hai KHushbu.o.n kii lahr me.n
Afzal Minhas
Sher
Aziz Hamid Madni
Sher
taalaab iraade kaa bhare pal me.n labaalab
jab yaar ke dariyaa-e-karam suu.n lahr aave
Alimullah
Sher
chashma-e-aab-e-ravaa.n hai jo saraab-e-jaa.n me.n
us kii har lahr me.n raqsaa.n hai tarannum teraa
Ishrat Zafar
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
badan me.n jaise lahuu taaziyaana ho gayaa hai
use gale se lagaa.e zamaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
lahuu vatan ke shahiido.n kaa rang laayaa hai
uchhal rahaa hai zamaane me.n naam-e-aazaadii