SEARCH RESULTS
Showing search results for "lapTe"
Sher MATCHES FOR "lapTe"
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
azaab hotii hai.n aksar shabaab kii gha.Diyaa.n
gulaab apnii hii KHushbuu se Darne lagte hai.n
Badr Wasti
Sher
zehn me.n yaad ke ghar TuuTne lagte hai.n 'shahaab'
log ho jaate hai.n jii jii ke puraane kitne
Mustafa Shahab
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
zamaana ho gayaa KHud se mujhe la.Dte-jhaga.Dte
mai.n apne aap se ab sulh karnaa chaahtaa huu.n
Iftikhar Arif
Sher
Meer Hasan
Sher
chaa.nd-chehre mujhe achchhe to bahut lagte hai.n
ishq mai.n us se karuu.ngaa jise urdu aa.e
Abbas Tabish
Sher
tere jalvo.n ne mujhe gher liyaa hai ai dost
ab to tanhaa.ii ke lamhe bhii hasii.n lagte hai.n
Seemab Akbarabadi
Sher
na mai.n KHasta-haal hotaa na ye ajnabii se lagte
ye hasii.n hasii.n farishte mujhe aadmii se lagte
Habeeb Hashmi
Sher
sub.h le jaate hai.n ham apnaa janaaza ghar se
shaam ko phir use kaa.ndho.n pe uThaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
ham nii.nd kii chaadar me.n lipTe hu.e chalte hai.n
is bhes me.n ab ham se milnaa ho to aa jaanaa