SEARCH RESULTS
Showing search results for "lorii"
Sher MATCHES FOR "lorii"
Sher
dekhaa nahii.n vo chaa.nd saa chehraa ka.ii din se
taariik nazar aatii hai duniyaa ka.ii din se
Junaid Hazin Lari
Sher
vo saadgii me.n bhii hai ajab dilkashii liye
is vaaste ham us kii tamannaa me.n jii liye
Junaid Hazin Lari
Sher
qatra na ho to bahr na aa.e vajuud me.n
paanii kii ek buu.nd samundar se kam nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
ajab bahaar dikhaa.ii lahuu ke chhii.nTo.n ne
KHizaa.n kaa rang bhii ra.ng-e-bahaar jaisaa thaa
Junaid Hazin Lari
Sher
tirii talaash me.n nikle to itnii duur ga.e
ki ham se tai na hu.e faasle judaa.ii ke
Junaid Hazin Lari
Sher
ishq hai jii kaa ziyaa.n ishq me.n rakkhaa kyaa hai
dil-e-barbaad bataa terii tamannaa kyaa hai
Junaid Hazin Lari
Sher
udaasiyaa.n hai.n jo din me.n to shab me.n tanhaa.ii
basaa ke dekh liyaa shahr-e-aarzuu mai.n ne
Junaid Hazin Lari
Sher
usii ko dasht-e-KHizaa.n ne kiyaa bahut paamaal
jo phuul sab se hasii.n mausam-e-bahaar me.n thaa
Junaid Hazin Lari
Sher
Gam de gayaa nashaat-e-shanaasaa.ii le gayaa
vo apne saath apnii masiihaa.ii le gayaa
Junaid Hazin Lari
Sher
duur saahil se ko.ii shoKH ishaaraa bhii nahii.n
Duubne vaale ko tinke kaa sahaaraa bhii nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
kaliyo.n me.n taazgii hai na phuulo.n me.n baas hai
tere baGair saaraa gulistaa.n udaas hai
Junaid Hazin Lari
Sher
Junaid Hazin Lari
Sher
rukii rukii sii hai barsaat KHushk hai saavan
ye aur baat ki mausam yahii numuu kaa hai
Junaid Hazin Lari
Sher
ik sham-e-aarzuu kii haqiiqat hii kyaa magar
tuufaa.n me.n ham charaaG jalaa.e hu.e to hai.n