SEARCH RESULTS
Showing search results for "mail"
Sher MATCHES FOR "mail"
Sher
apne markaz kii taraf maa.il-e-parvaaz thaa husn
bhuultaa hii nahii.n aalam tirii a.ng.Daa.ii kaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
mujh se biga.D ga.e to raqiibo.n kii ban ga.ii
Gairo.n me.n baT rahaa hai miraa e'tibaar aaj
Ahmad Husain Mail
Sher
nigaah-e-naaz kii pahlii sii barhamii bhii ga.ii
mai.n dostii ko hii rotaa thaa dushmanii bhii ga.ii
Mael Lakhnavi
Sher
pyaar apne pe jo aataa hai to kyaa karte hai.n
aa.iina dekh ke mu.nh chuum liyaa karte hai.n
Ahmad Husain Mail
Sher
in shoKH hasiino.n pe jo maa.il nahii.n hotaa
kuchh aur balaa hotii hai vo dil nahii.n hotaa
Ameer Minai
Sher
maa.il-e-sher-o-Gazal phir hai tabii.at 'asGar'
abhii kuchh aur muqaddar me.n hai rusvaa honaa
Asghar Gondvi
Sher
dil hai miraa ra.ngiinii-e-aaGaaz pe maa.il
nazro.n me.n abhii jaam hai anjaam nahii.n hai
Figar Unnavi
Sher
jitne achchhe hai.n mai.n huu.n un me.n buraa
hai.n bure jitne un me.n achchhaa huu.n
Ahmad Husain Mail
Sher
agarche vo be-parda aa.e hu.e hai.n
chhupaane kii chiize.n chhupaa.e hu.e hai.n
Ahmad Husain Mail
Sher
hazaaro.n chaa.nd sitaare chamak ga.e hote
kabhii nazar jo tirii maa.il-e-karam hotii
Khaleel Mamoon
Sher
kii tark-e-mai to maa.il-e-pindaar ho gayaa
mai.n tauba kar ke aur gunahgaar ho gayaa
Dagh Dehlvi
Sher
Ahmad Husain Mail
Sher
mai.n bhalaa kab thaa suKHan-go.ii pe maa.il 'Gaalib'
sher ne kii ye tamannaa ke bane fan meraa
Mirza Ghalib
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
Anwar Shuoor
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa