SEARCH RESULTS
Showing search results for "marhabaa"
Sher MATCHES FOR "marhabaa"
Sher
rahe na jaan to qaatil ko KHuu.n-bahaa diije
kaTe zabaan to KHanjar ko marhabaa kahiye
Mirza Ghalib
Sher
phailaa fazaa me.n naGma-e-zanjiir-e-marhabaa
zindaa.n me.n ghuT ke rah na sakii zindagii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
talaash-e-rizq kaa ye marhala ajab hai ki ham
gharo.n se duur bhii ghar ke liye base hu.e hai.n
Arif Imam
Sher
abhii hai.n qurb ke kuchh aur marhale baaqii
ki tujh ko paa ke hame.n phir tirii tamannaa hai
Tabish Dehlvi
Sher
vaqt har zaKHm kaa marham to nahii.n ban saktaa
dard kuchh hote hai.n taa-umr rulaane vaale
Sada Ambalvi
Sher
Unknown
Sher
ta.alluq to.Dne me.n pahl mushkil marhala thaa
chalo ham ne tumhaaraa bojh halkaa kar diyaa hai
Hasan Abbas Raza
Sher
har baat jaante hu.e dil maantaa na thaa
ham jaane e'tibaar ke kis marhale me.n the