SEARCH RESULTS
Showing search results for "miTe.n"
Sher MATCHES FOR "miTe.n"
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
bad-qismatii ko ye bhii gavaaraa na ho sakaa
ham jis pe mar miTe vo hamaaraa na ho sakaa
Shakeb Jalali
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Ahmad Faraz
Sher
tum saada-mizaajii se miTe phirte ho jis par
vo shaKHs to duniyaa me.n kisii kaa bhii nahii.n hai
Ehsan Danish
Sher
dilo.n kaa zikr hii kyaa hai mile.n mile.n na mile.n
nazar milaa.o nazar se nazar kii baat karo
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
savaal ye hai ki aapas me.n ham mile.n kaise
hamesha saath to chalte hai.n do kinaare bhii
Amjad Islam Amjad
Sher
aaj ham daar pe khii.nche ga.e jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
Ibn e Insha
Sher
Aitbar Sajid
Sher
miTe ye shub.h to a dost tujh se baat kare.n
hamaarii pahlii mulaaqaat aaKHirii to nahii.n
Krishn Bihari Noor
Sher
ab kahaa.n dost mile.n saath nibhaane vaale
sab ne siikhe hai.n ab aadaab zamaane vaale
Sada Ambalvi
Sher
kis tarah mile.n ko.ii bahaanaa nahii.n miltaa
ham jaa nahii.n sakte unhe.n aanaa nahii.n miltaa
Mirza Raza Barq
Sher
eid ko bhii vo nahii.n milte hai.n mujh se na mile.n
ik baras din kii mulaaqaat hai ye bhii na sahii
Shola Aligarhi
Sher
dastuur hai duniyaa kaa magar ye to bataa.o
ham kis se mile.n kis se kahe.n iid mubaarak