SEARCH RESULTS
Showing search results for "moTaa"
Sher MATCHES FOR "moTaa"
Sher
ham ko miTaa sake ye zamaane me.n dam nahii.n
ham se zamaana KHud hai zamaane se ham nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
Dhuu.nD uj.De hu.e logo.n me.n vafaa ke motii
ye KHazaane tujhe mumkin hai KHaraabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Sher
ab ye bhii nahii.n Thiik ki har dard miTaa de.n
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
kahii.n vo aa ke miTaa de.n na intizaar kaa lutf
kahii.n qubuul na ho jaa.e iltijaa merii
Hasrat Jaipuri
Sher
Rajendera Krishan
Sher
ab tak mirii yaado.n se miTaa.e nahii.n miTtaa
bhiigii hu.ii ik shaam kaa manzar tirii aa.nkhe.n
Mohsin Naqvi
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
Unknown
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
Ameer Minai
Sher
tum miTaa sakte nahii.n dil se miraa naam kabhii
phir kitaabo.n se miTaane kii zaruurat kyaa hai
Unknown
Sher
mai.n munaqqash huu.n tirii ruuh kii diivaaro.n par
tuu miTaa saktaa nahii.n bhuulne vaale mujh ko
Mohsin Ehsan
Sher
zindagii apnaa safar tai to karegii lekin
ham-safar aap jo hote to mazaa aur hii thaa
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kuchh to ehsaas-e-mohabbat se hu.ii.n nam aa.nkhe.n
kuchh tirii yaad ke baadal bhii bhigo jaate hai.n