SEARCH RESULTS
Showing search results for "mohabbat"
Sher MATCHES FOR "mohabbat"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tire naam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Nasir Kazmi
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai
Jigar Moradabadi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
musaafiro.n se mohabbat kii baat kar lekin
musaafiro.n kii mohabbat kaa e'tibaar na kar