SEARCH RESULTS
Showing search results for "muKHlis"
Sher MATCHES FOR "muKHlis"
Sher
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis me.n
har gha.Dii dard ke paivand lage jaate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kitne muflis ho ga.e kitne tava.ngar ho ga.e
KHaak me.n jab mil ga.e dono.n baraabar ho ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
mai.n ne maanaa ki bahut aap hasii.n hai.n lekin
aap kaa dil bhii hasii.n ho ye zaruurii to nahii.n
Mukhlis Musavviri
Sher
muflis ke badan ko bhii hai chaadar kii zaruurat
ab khul ke mazaaro.n pe ye elaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Sher
Anand Ram Mukhlis
Sher
khilauno.n ke liye bachche abhii tak jaagte ho.nge
tujhe ai muflisii ko.ii bahaana Dhuu.nD lenaa hai
Munawwar Rana
Sher
isii liye to hai zindaa.n ko justujuu merii
ki muflisii ko sikhaa.ii hai sar-kashii mai.n ne
Ali Sardar Jafri
Sher
'haalii' suKHan me.n 'sheftaa' se mustafiid hai
'Gaalib' kaa mo'taqid hai muqallid hai 'miir' kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
muflisii bhuuk ko shahvat se milaa detii hai
gandumii lams me.n hai zaa.iqa-e-naan-e-javii.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
qubuul un kii du.aa.e.n zaruur hotii hai.n
rago.n me.n apnii lahuu jo halaal rakhte hai.n
Mukhlis Musavviri
Sher
ka.ii rang badaltaa hai bharosaa nahii.n us kaa
filhaal vo muKHlis hai magar zehn me.n rakhnaa