SEARCH RESULTS
Showing search results for "muravvat"
Sher MATCHES FOR "muravvat"
Sher
dekhii hai.n ba.De Gaur se mai.n ne vo nigaahe.n
aa.nkho.n me.n muravvat kaa kahii.n naam nahii.n hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge
Shefta Mustafa Khan
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
dosto.n se dushmanii aur dushmano.n se dostii
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dha.ng hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
phir is ke baad hame.n tishnagii rahe na rahe
kuchh aur der muravvat se kaam le saaqii
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
itne zaalim na bano kuchh to muravvat siikho
tum pe marte hai.n to kyaa maar hii Daaloge hame.n
Idris Azad
Sher
yahii kamra thaa jis me.n chain se ham jii rahe the
ye tanhaa.ii to itnii be-muravvat ab hu.ii hai
Shariq Kaifi
Sher
ek do baar to rokuu.ngaa muravvat me.n tujhe
saika.Do.n baar to israar nahii.n kar saktaa
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
Idris Babar
Sher
Haneef akhgar
Sher
salaam terii muravvat ko mehrbaanii ko
milaa ik aur nayaa silsila kahaanii ko
Khurshid Ahmad Jami
Sher
bazm me.n us be-muravvat kii mujhe
dekhnaa pa.Dtaa hai kyaa kyaa dekhiye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
vo aa ga.ii to muravvat me.n pesh karnaa pa.Dii
vo chaa.e us kii nahii.n thii jo us ne pii lii thii
Aqeel Abbas
Sher
ab to faqat badan kii muravvat hai darmiyaa.n
thaa rabt-e-jaan-o-dil to shuruu.aat hii me.n thaa
Aziz Qaisi
Sher
be-muravvat tujhe aazurda kare.nge ham log
ye tirii naazukii-e-tab.a kii iijaad hai.n sab
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kiyaa hai chashm-e-muravvat ne aaj maa.il-e-mehr
mai.n un kii bazm se kal aabdiida aayaa thaa