SEARCH RESULTS
Showing search results for "naazo.n"
Sher MATCHES FOR "naazo.n"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
shaam tak sub.h kii nazro.n se utar jaate hai.n
itne samjhauto.n pe jiite hai.n ki mar jaate hai.n
Waseem Barelvi
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
faasla nazro.n kaa dhoka bhii to ho saktaa hai
vo mile yaa na mile haath ba.Dhaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
zabaa.n KHaamosh magar nazro.n me.n ujaalaa dekhaa
us kaa iz.haar-e-mohabbat bhii niraalaa dekhaa
Tauqeer Ahmad
Sher
sar agar sar hai to nezo.n se shikaayat kaisii
dil agar dil hai to dariyaa se ba.Daa honaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
dhokaa thaa nigaaho.n kaa magar KHuub thaa dhokaa
mujh ko tirii nazro.n me.n mohabbat nazar aa.ii
Shaukat Thanvi
Sher
mai pii ke jo girtaa hai to lete hai.n use thaam
nazro.n se giraa jo use phir kis ne sambhaalaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
pahlii baar nazro.n ne chaa.nd bolte dekhaa
ham javaab kyaa dete kho ga.e savaalo.n me.n
Bashir Badr
Sher
suurat to ibtidaa se tirii laa-javaab thii
naaz-o-adaa ne aur tarah-daar kar diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
naaz hai gul ko nazaakat pe chaman me.n ai 'zauq'
us ne dekhe hii nahii.n naaz-o-nazaakat vaale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
armaan vasl kaa mirii nazro.n se taa.D ke
pahle hii se vo baiTh ga.e mu.nh bigaa.D ke