SEARCH RESULTS
Showing search results for "nasha"
Sher MATCHES FOR "nasha"
Sher
nasha pilaa ke giraanaa to sab ko aataa hai
mazaa to tab hai ki girto.n ko thaam le saaqii
Allama Iqbal
Sher
Hasan Naim
Sher
bhare makaa.n kaa bhii apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-KHaane me.n raate.n guzaarne vaalaa
Waseem Barelvi
Sher
KHud apnii mastii hai jis ne machaa.ii hai halchal
nasha sharaab me.n hotaa to naachtii botal
Arif Jalali
Sher
shaam se un ke tasavvur kaa nasha thaa itnaa
nii.nd aa.ii hai to aa.nkho.n ne buraa maanaa hai
Unknown
Sher
ajab nasha hai tire qurb me.n ki jii chaahe
ye zindagii tirii aaGosh me.n guzar jaa.e
Aitbar Sajid
Sher
bismil ke ta.Dapne kii adaa.o.n me.n nasha thaa
mai.n haath me.n talvaar liye jhuum rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
mujhe sharaab pilaa.ii ga.ii hai aa.nkho.n se
miraa nasha to hazaaro.n baras me.n utregaa
Vijendra Singh Parwaz
Sher
tirii mohabbat me.n gumrahii kaa ajab nasha thaa
ki tujh tak aate hu.e KHudaa tak pahu.nch ga.e hai.n
Abbas Tabish
Sher
Zubair Rizvi
Sher
aaj tak us kii mohabbat kaa nasha taarii hai
phuul baaqii nahii.n KHushbuu kaa safar jaarii hai
Shahzad Ahmad
Sher
phir yuu.n hu.aa thakan kaa nasha aur ba.Dh gayaa
aa.nkho.n me.n Duubtaa hu.aa jaada lagaa hame.n
Shakeel Azmi
Sher
nii.nd kaa us ko nasha ham ko jagaane kii havas
KHvaab me.n aate hu.e nii.nd churaate hu.e ham
Zia Zameer
Sher
mai ko mire suruur se haasil suruur thaa
mai.n thaa nashe me.n chuur nasha mujh me.n chuur thaa
Natiq Gulavthi
Sher
abhii gunaah kaa mausam hai aa shabaab me.n aa
nasha utarne se pahle mirii sharaab me.n aa
Abdullah Kamal
Sher
tumhaarii yaad nikaltii nahii.n mire dil se
nasha chhalaktaa nahii.n hai sharaab se baahar