SEARCH RESULTS
Showing search results for "niklo"
Sher MATCHES FOR "niklo"
Sher
dhuup me.n niklo ghaTaa.o.n me.n nahaa kar dekho
zindagii kyaa hai kitaabo.n ko haTaa kar dekho
Nida Fazli
Sher
rotii aa.nkho.n ko ha.nsaane kaa hunar le ke chalo
ghar se niklo to ye saamaan-e-safar le ke chalo
Ahmad Wasi
Sher
ghar se niklo to du.aa maa.ng ke niklo varna
lauT aane kaa nahii.n apne bharosa ko.ii
Irfan Parbhanvi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
jo din ko niklo to KHurshiid gird-e-sar ghuume
chalo jo shab ko to qadmo.n pe maahtaab gire
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khuucha-e-KHaak
aish jitne hai.n isii kunj-e-kam-aasaar me.n hai.n
Arshad Abdul Hamid
Sher
apnaa aap nahii.n hai sab kuchh apne aap se niklo
badbuu.e.n phailaa detaa hai paanii kaa Thahraa.o
Ali Akbar Abbas
Sher
kabhii is samt ko bhii bahr-e-tamaashaa niklo
dil kaa hairat-kada aisaa ko.ii viiraa.n bhii nahii.n
Ijtiba Rizvi
Sher
sair-e-saahil ko bahut aate hai.n ujle chehre
tum bhii aa niklo kabhii aa ke ye manzar dekho
Ahmad Niyaz Razzaqi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kabhii KHud pe kabhii haalaat pe ronaa aayaa
baat niklii to har ik baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
vo kaun thaa jo din ke ujaale me.n kho gayaa
ye chaa.nd kis ko Dhuu.nDne niklaa hai shaam se
Adil Mansuri
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
'mus.hafii' ham to ye samjhe the ki hogaa ko.ii zaKHm
tere dil me.n to bahut kaam rafuu kaa niklaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
khii.ncho na kamaano.n ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to aKHbaar nikaalo