SEARCH RESULTS
Showing search results for "o.dhe"
Sher MATCHES FOR "o.dhe"
Sher
pe.D ke niiche zaraa sii chhaa.nv jo us ko milii
so gayaa mazduur tan par boriyaa o.Dhe hu.e
Sharib Mauranwi
Sher
Fazl Tabish
Sher
ab zamiino.n ko bichhaa.e ki falak ko o.Dhe
muflisii to bharii barsaat me.n be-ghar hu.ii hai
Saleem Siddiqui
Sher
Rana Amir Liyaqat
Sher
tire tasavvur kii dhuup o.Dhe kha.Daa huu.n chhat par
mire liye sardiyo.n kaa mausam zaraa alag hai
Sabir
Sher
mere andar ek dastak sii kahii.n hotii rahii
zindagii o.Dhe hu.e mai.n be-KHabar sotii rahii
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
ye shaKHs jo tujhe aadhaa dikhaa.ii detaa hai
is aadhe shaKHs ko apnaa banaa ke dekh kabhii
Azhar Adeeb
Sher
Ali Akbar Natiq
Sher
barbaad-e-vafaa ho kar masjuud-e-jahaa.n dil ho
aadhe me.n bane masjid aadhe me.n sanam-KHaana
Nooh Narvi
Sher
kyaa KHabar kis mo.D par bikhre mataa-e-ehtiyaat
pattharo.n ke shahr me.n huu.n aa.iina o.Dhe hu.e
Zafar Moradabadi
Sher
na merii aa.nkh na qalb-o-jigar me.n rahtaa hai
vo dard ban ke mire aadhe sar me.n rahtaa hai
Imam Deen Gujrati
Sher
Rana Amir Liyaqat
Sher
zamaana apnii uryaanii pe KHuu.n ro.egaa kab tak
hame.n dekho ki apne aap ko o.Dhe hu.e hai.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
paagal kiyaa hai ishq ne aadhaa jo rah gayaa
ab aadhe sar ke dard kaa puuraa mariiz huu.n
Haseebul Hasan
Sher
Tauqeer Abbas
Sher
be-KHabar road pe in bhaagte bachcho.n ko mai.n
kitnii hasrat se thakan o.Dhe hu.e dekhtaa huu.n