SEARCH RESULTS
Showing search results for "parvana"
Sher MATCHES FOR "parvana"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
jaan jaane ko hai aur raqs me.n parvaana hai
kitnaa ra.ngiin mohabbat tiraa afsaana hai
Saghar Khayyami
Sher
hotii kahaa.n hai dil se judaa dil kii aarzuu
jaataa kahaa.n hai sham.a ko parvaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
tuu kahii.n ho dil-e-diivaana vahaa.n pahu.nchegaa
sham.a hogii jahaa.n parvaana vahaa.n pahu.nchegaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
Kaifi Hyderabadi
Sher
parvaana gird ghuum ke jab ho chukaa fanaa
ab saarii raat sham.a lagan me.n jalii to kyaa
Sabt Md. Hadi Shams
Sher
misl-e-parvaana fidaa har ek kaa dil ho gayaa
yaar jis mahfil me.n baiThaa sham-e-mahfil ho gayaa
Jaleel Manikpuri
Sher
mai.n Dhuu.nDh rahaa huu.n mirii vo sham.a kahaa.n hai
jo bazm kii har chiiz ko parvaana banaa de
Behzad Lakhnavi
Sher
jaane kyaa mahfil-e-parvaana me.n dekhaa us ne
phir zabaa.n khul na sakii sham.a jo KHaamosh hu.ii
Aleem Masroor
Sher
dekh le bulbul o parvaana kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
ai kaash ko.ii sham.a ke le jaa ke mujhe paas
ye baat kahe us se ki parvaana hai ye bhii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis me.n
har gha.Dii dard ke paivand lage jaate hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
Unknown
Sher
sham.a bujh kar rah ga.ii parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daaG dil par rah gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
muujid jo nuur kaa hai vo meraa charaaG hai
parvaana huu.n mai.n anjuman-e-kaa.enaat kaa