SEARCH RESULTS
Showing search results for "payaamii kaam yaab aae na aae"
Sher MATCHES FOR "payaamii kaam yaab aae na aae"
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
palaT ke aa.e na aa.e ko.ii sune na sune
sadaa kaa kaam fazaa.o.n me.n guu.njte tak hai
Khalid Iqbal Yasir
Sher
ilaaj-e-'aKHtar'-e-naa-kaam kyuu.n nahii.n mumkin
agar vo jii nahii.n saktaa to mar to saktaa hai
Akhtar Ansari
Sher
lafzo.n kaa KHazaana bhii kabhii kaam na aa.e
baiThe rahe.n likhne ko tiraa naam na aa.e
Khaleel Mamoon
Sher
aaj aa.iine me.n KHud ko dekh kar yaad aa gayaa
ek muddat ho ga.ii jis shaKHs ko dekhe hu.e
Azad Gulati
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Bahram ji
Sher
yaad aa.ii na kabhii be-sar-o-saamaanii me.n
dekh kar ghar ko Gariib-ul-vatanii yaad aa.ii
Waheed Akhtar
Sher
Saleem Kausar
Sher
zindagii naam isii mauj-e-mai-e-naab kaa hai
mai-kade se jo uThe daar-o-rasan tak pahu.nche
Kamal Ahmad Siddiqi
Sher
kyaa fikr-e-aab-o-naan ki Gam kah rahaa hai ab
maujuud huu.n ziyaafat-e-dil aur jigar ko mai.n
Ismail Merathi
Sher
ruu-e-suKHan hai kiidhar ahl-e-jahaa.n kaa yaa rab
sab muttafiq hai.n is par har ek kaa KHudaa hai
Meer Taqi Meer
Sher
qatra na ho to bahr na aa.e vajuud me.n
paanii kii ek buu.nd samundar se kam nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
na jaane kaun sii manzil pe ishq aa pahu.nchaa
du.aa bhii kaam na aa.e ko.ii davaa na lage
Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri
Sher
roz o shab furqat-e-jaanaa.n me.n basar kii ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauraa.n niklaa