SEARCH RESULTS
Showing search results for "pur-shor"
Sher MATCHES FOR "pur-shor"
Sher
is zamaane me.n KHamoshii se nikaltaa nahii.n kaam
naala pur-shor ho aur zoro.n pe fariyaad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
'saaz' jab khulaa ham par sher ko.ii 'Gaalib' kaa
ham ne goyaa baatin kaa ik suraaG saa paayaa
Abdul Ahad Saaz
Sher
kundanii rang kaa mai.n kushta huu.n
kyuu.n na ho merii za.afraanii KHaak
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
na to mai.n huur kaa maftuu.n na parii kaa aashiq
KHaak ke putle kaa hai KHaak kaa putlaa aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
naaKHun kaa rang siina-KHaraashii se ye hu.aa
surKHii shafaq se aatii hai jaise hilaal par
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
kisii kii zulf ke saude me.n raat kii hai basar
kisii ke ruKH ke tasavvur me.n din tamaam kiyaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
jab us ne miraa KHat na chhu.aa haath se apne
qaasid ne bhii chipkaa diyaa diivaar se kaaGaz
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
shab-e-vasl aaj vo taakiid karte hai.n mohabbat se
abhii so rahne do kuchh raat guzre to jagaa lenaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
sunaa hai arsh-e-ilaahii isii ko kahte hai.n
tavaaf-e-ka.aba-e-dil ham ne sub.h-o-shaam kiyaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
phaT jaate hai.n zaKHm-e-dil-e-betaab ke a.nguur
saaqii tire haatho.n se jo saaGar nahii.n miltaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
zarre kii tarah KHaak me.n paamaal ho ga.e
vo jin kaa aasmaa.n pe sar-e-pur-Guruur thaa
George Puech Shor
Sher
kiyaa baadalo.n me.n safar zindagii bhar
zamii.n par banaayaa na ghar zindagii bhar