SEARCH RESULTS
Showing search results for "qadar"
Sher MATCHES FOR "qadar"
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
bechain is qadar thaa ki soyaa na raat bhar
palko.n se likh rahaa thaa tiraa naam chaa.nd par
Unknown
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
kisii se ko.ii bhii ummiid rakhnaa chho.D kar dekho
to ye rishta nibhaanaa kis qadar aasaan ho jaa.e
Waseem Barelvi
Sher
is qadar thaa khaTmalo.n kaa chaarpaa.ii me.n hujuum
vasl kaa dil se mire armaan ruKHsat ho gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
zindagii hai apne qabze me.n na apne bas me.n maut
aadmii majbuur hai aur kis qadar majbuur hai
Ahmed Amethwi
Sher
yuu.nhii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaate hai.n insaa.n jaanaa.n
Ahmad Faraz
Sher
dosto.n se is qadar sadme uThaa.e jaan par
dil se dushman kii adaavat kaa gila jaataa rahaa
Haidar Ali Aatish
Sher
aakaash kii hasiin fazaa.o.n me.n kho gayaa
mai.n is qadar u.Daa ki KHalaa.o.n me.n kho gayaa
Kamil Bahzadi
Sher
laa.ii na aiso.n-vaiso.n ko KHaatir me.n aaj tak
uu.nchii hai kis qadar tirii niichii nigaah bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
ik mulaaqaat kaa jaaduu ki utartaa hii nahii.n
tirii KHushbuu mirii chaadar se nahii.n jaatii hai
Rahat Indori
Sher
is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakkho
thak ga.e ho to mire kaa.ndhe pe baazuu rakkho