SEARCH RESULTS
Showing search results for "saad"
Sher MATCHES FOR "saad"
Sher
bande ke qalam haath me.n hotaa to Gazab thaa
sad shukr ki hai kaatib-e-taqdiir ko.ii aur
Nazeer Akbarabadi
Sher
ko.ii davaa bhii nahii.n hai yahii to ronaa hai
sad ehtiyaat ki phailaa hu.aa corona hai
Wajeeh Sani
Sher
daam-e-har-mauj me.n hai halqa-e-sad-kaam-e-naha.ng
dekhe.n kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
ai 'mus.hafii' sad-shukr hu.aa vasl mayassar
iftaar kiyaa roze me.n us lab ke rotab se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ham ne ba-sad KHuluus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitnii kashish hai KHuluus me.n
Unknown
Sher
tuu ham se hai bad-gumaa.n sad afsos
tere hii to jaa.n-nisaar hai.n ham
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
vidaa.a o vasl me.n hai.n lazzate.n judaagaana
hazaar baar tuu jaa sad-hazaar baar aa jaa
Mirza Ghalib
Sher
mai.n aur sad-hazaar navaa-e-jigar-KHaraash
tuu aur ek vo naa-shuniidan ki kyaa kahuu.n
Mirza Ghalib
Sher
sad-yaad-e-yaad 'jaun' vo ha.ngaam-e-dil ki jab
ham ek gaam ke na the par haft-KHvaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftuguu me.n ho
merii taraf bhii ik nigah-e-kam-suKHan pa.De
Majeed Amjad
Sher
puuchhii jo us se mai.n dil-e-sad-chaak kii KHabar
uljhaa ke apnii zulf vo shaane se uTh gayaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
vo chaahtaa thaa ki dekhe mujhe bikharte hu.e
so us kaa jashn ba-sad-ehtimaam mai.n ne kiyaa
Saud Usmani
Sher
Syed Amin Ashraf
Sher
ik nazar dekh mire dil kii taraf jaan-e-muraad
aa.ina siina-e-sad-chaak se behtar to nahii.n
Moid Rasheedi
Sher
ba-sad adaa-e-dilbarii hai iltijaa-e-mai-kashii
ye hosh ab kise ki mai haraam yaa halaal hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-baal hii guzre
maqduur na dekhaa kabhuu be-baal-o-parii kaa
Meer Taqi Meer
Sher
vo jalva-e-sad-rang me.n ik Dha.ng se niklaa
jo misra tire siina-o-aaha.ng se niklaa