SEARCH RESULTS
Showing search results for "sairaabii"
Sher MATCHES FOR "sairaabii"
Sher
Aziz Nabeel
Sher
jab bhii kashtii mirii sailaab me.n aa jaatii hai
maa.n du.aa kartii hu.ii KHvaab me.n aa jaatii hai
Munawwar Rana
Sher
kaa.nTo.n se dil lagaa.o jo taa-umr saath de.n
phuulo.n kaa kyaa jo saa.ns kii garmii na sah sake.n
Akhtar Shirani
Sher
Gam-e-zamaana ne majbuur kar diyaa varna
ye aarzuu thii ki bas terii aarzuu karte
Akhtar Shirani
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
kuchh to tanhaa.ii kii raato.n me.n sahaaraa hotaa
tum na hote na sahii zikr tumhaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
Akhtar Shirani
Sher
aa.e hai bekasii-e-ishq pe ronaa 'Gaalib'
kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Sher
Akhtar Shirani
Sher
Akhtar Shirani
Sher
kaam aa sakii.n na apnii vafaa.e.n to kyaa kare.n
us bevafaa ko bhuul na jaa.e.n to kyaa kare.n
Akhtar Shirani
Sher
bulbul Gazal-saraa.ii aage hamaare mat kar
sab ham se siikhte hai.n andaaz guftuguu kaa
Meer Taqi Meer
Sher
uThte nahii.n hai.n ab to du.aa ke liye bhii haath
kis darja naa-umiid hai.n parvardigaar se
Akhtar Shirani
Sher
ham ko bhii KHush-numaa nazar aa.ii hai zindagii
jaise saraab duur se dariyaa dikhaa.ii de
Mahshar Badayuni
Sher
agar ho.n kachche gharo.ndo.n me.n aadmii aabaad
to ek abr bhii sailaab ke baraabar hai