SEARCH RESULTS
Showing search results for "samt-e-safar"
Sher MATCHES FOR "samt-e-safar"
Sher
tujh se bichha.D ke samt-e-safar bhuulne lage
phir yuu.n hu.aa ham apnaa hii ghar bhuulne lage
Hasan Abbas Raza
Sher
nigaah me.n ko.ii manzil na ko.ii samt-e-safar
havaa KHamosh hai kashtii kaa baadbaa.n chup hai
Saib Tonki
Sher
Akhtar Saeed Khan
Sher
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.n
bikhraa hu.aa hayaat kaa daftar sameT luu.n
Ajmal Ajmali
Sher
dil ko tire firaaq kii aarzuu yaad rah ga.ii
din vo mohabbato.n ke bhii misl-e-rah-e-safar ga.e
Kishwar Naheed
Sher
kahii.n sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar
Thahar gayaa hai kahaa.n qaafila tamannaa kaa
Javed Shaheen
Sher
raKHt-e-safar jo paas hamaare na thaa to kyaa
shauq-e-safar ko saath liyaa aur chal pa.De
Makhmoor Saeedi
Sher
kaafii hai nishaanii tiraa chhalle kaa na denaa
KHaalii mujhe dikhlaa ke ba-vaqt-e-safar a.ngusht
Mirza Ghalib
Sher
tamaam umr ba-qaid-e-safar rahaa huu.n mai.n
tavaaf phir kisii ka.abe kaa kar rahaa huu.n mai.n
Sarfaraz Khalid
Sher
Aslam Mahmood
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Har Bhagwan Shad
Sher
Ahsan Shafiq
Sher
shaayad ki vo vaaqif nahii.n aadaab-e-safar se
paanii me.n jo qadmo.n ke nishaa.n Dhuu.nD rahaa thaa
Sahar Ansari
Sher
namaaziyo.n ne tujh abruu ko dekh masjid me.n
ba-samt-e-qibla sujuud-o-qayaam bhuul ga.e
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
itne KHadshe nahii.n hai.n rasto.n me.n
jis qadar KHvaahish-e-safar me.n hai.n