SEARCH RESULTS
Showing search results for "sham-e-aah"
Sher MATCHES FOR "sham-e-aah"
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
shaam aa.e aur ghar ke liye dil machal uThe
shaam aa.e aur dil ke liye ko.ii ghar na ho
Akhtar Usman
Sher
baal ruKHsaaro.n se jab us ne haTaa.e to khulaa
do fara.ngii sair ko nikle hai.n mulk-e-shaam se
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
ai shaam-e-hijr-e-yaar mirii tuu gavaahii de
mai.n tere saath saath rahaa ghar nahii.n gayaa
Azeem Haider Syed
Sher
tum bhii karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhii kare.nge sabr magar iKHtiyaar tak
Mela Ram Wafa
Sher
ham yahaa.n kaaTne aa.e hai.n shab-e-furqat-e-yaar
ham zaraa bhii hai.n agar KHush to Ganiimat jaano
Bhaskar Shukla
Sher
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa
Jafar Malihabadi
Sher
Gurbat kii sub.h me.n bhii nahii.n hai vo raushnii
jo raushnii ki shaam-e-savaad-e-vatan me.n thaa
Hasrat Mohani
Sher
charaaG-e-shaam-e-Gariibii thaa me.n zamaane me.n
kisii ne aa ke na ThanDaa kiyaa jalaa ke mujhe
Naseem Bharat Puri
Sher
charaaG-e-shaam-e-Gariibii thaa mai.n zamaane me.n
kisii ne aa ke na ThanDaa kiyaa jalaa ke mujhe