SEARCH RESULTS
Showing search results for "shash-jahaat"
Sher MATCHES FOR "shash-jahaat"
Sher
kis kaa suraaG jalva hai hairat ko ai KHudaa
aa.iina farsh-e-shash-jahat-e-intizaar hai
Mirza Ghalib
Sher
hamaaraa kaam to mausam kaa dhyaan karnaa hai
aur us ke baa'd ke sab kaam shash-jahaat ke hai.n
Pallav Mishra
Sher
ye savaad-e-shahr aur aisaa kahaa.n husn-e-maliih
shash-jihat me.n mulk dekhaa hii nahii.n punjab saa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
mohabbat kii sultaanii hai sab jagat me.n
ki is sam nahii.n ko.ii gyaanii-o-daanii
Quli Qutub Shah
Sher
ai sard-mehr tujh sii.n KHuubaa.n jahaa.n ke kaa.npe
KHurshiid thartharaayaa aur maah dekh haalaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
mujh saa ko.ii jahaan me.n naadaan bhii na ho
kar ke jo ishq kahtaa hai nuqsaan bhii na ho
Saadullah Shah
Sher
jahaa.n lab ye chup ho.n nazar kah rahii ho
vahaa.n bhii tasavvur me.n kuchh zindagii ho
Vikas Shah Musafir
Sher
tuu kahii.n ho dil-e-diivaana vahaa.n pahu.nchegaa
sham.a hogii jahaa.n parvaana vahaa.n pahu.nchegaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
gadaa-e-shaah-e-najaf huu.n so mere kaase se
jahaa.n ko charKH-e-suKHan ke sabhii pate mile.nge