SEARCH RESULTS
Showing search results for "soz-e-gam-e-jaanaa.n"
Sher MATCHES FOR "soz-e-gam-e-jaanaa.n"
Sher
kuchh aur bhii hai.n kaam hame.n ai Gam-e-jaanaa.n
kab tak ko.ii uljhii hu.ii zulfo.n ko sa.nvaare
Habib Jalib
Sher
Mustafa Zaidi
Sher
tasviir ke do ruKH hai.n jaa.n aur Gam-e-jaanaa.n
ik naqsh chhupaanaa hai ik naqsh dikhaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
soz-e-Gam hii se mirii aa.nkh me.n aa.nsuu aa.e
sochtaa huu.n ki ise aag kahuu.n yaa paanii
Josh Malsiani
Sher
soz-e-Gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
Gam-e-jaanaa.n Gam-e-dauraa.n kii taraf yuu.n aayaa
jaanib shahar chale duKHtar-e-dahqaa.n jaise
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
kanval Dibaivi
Sher
Gam-e-dauraa.n me.n kahaa.n baat Gam-e-jaanaa.n kii
nazm hai apnii jagah KHuub magar haa.e Gazal
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
soz-e-Gam se ashk kaa ek ek qatra jal gayaa
aag paanii me.n lagii aisii ki dariyaa jal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabii.at raah par laa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Sher
fart-e-Gam-e-havaadis-e-dauraa.n ke baavajuud
jab bhii tire dayaar se guzre machal ga.e
Ahmad Riyaz
Sher
Gam-e-jahaan o Gam-e-yaar do kinaare hai.n
udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aa.e