SEARCH RESULTS
Showing search results for "ta.dapte"
Sher MATCHES FOR "ta.dapte"
Sher
KHanjar chale kisii pe ta.Dapte hai.n ham 'amiir'
saare jahaa.n kaa dard hamaare jigar me.n hai
Ameer Minai
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
Maryam Gazala
Sher
hijr me.n us but-e-kaafir ke ta.Dapte hai.n pa.De
ahl-e-zunnaar kahii.n saahib-e-islaam kahii.n
Taban Abdul Hai
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
KHamoshii se musiibat aur bhii sa.ngiin hotii hai
ta.Dap ai dil ta.Dapne se zaraa taskiin hotii hai
Shad Azimabadi
Sher
kahaa.n ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhii to log taraste hai.n zindagii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
sabr karnaa saKHt mushkil hai ta.Dapnaa sahl hai
apne bas kaa kaam kar letaa huu.n aasaa.n dekh kar
Yagana Changezi
Sher
Allama Iqbal
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
duur se aa.e the saaqii sun ke mai-KHaane ko ham
bas taraste hii chale afsos paimaane ko ham
Nazeer Akbarabadi
Sher
ye kyaa ki vo jab chaahe mujhe chhiin le mujh se
apne liye vo shaKHs ta.Daptaa bhii to dekhuu.n
Parveen Shakir
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
bismil ke ta.Dapne kii adaa.o.n me.n nasha thaa
mai.n haath me.n talvaar liye jhuum rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
ham taraste hii taraste hii taraste hii rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile