SEARCH RESULTS
Showing search results for "tamaashe"
Sher MATCHES FOR "tamaashe"
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
Muneer Niyazi
Sher
ye chaar din ke tamaashe hai.n aah duniyaa ke
rahaa jahaa.n me.n sikandar na aur na jam baaqii
Bhartendu Harishchandra
Sher
ab zamaane me.n mohabbat hai tamaashe kii tarah
is tamaashe se bahaltaa nahii.n tuu bhii mai.n bhii
Tauqeer Taqi
Sher
ye hijrato.n ke tamaashe, ye qarz rishto.n ke
mai.n KHud ko jo.Dte rahne me.n TuuT jaataa huu.n
Moid Rasheedi
Sher
pahle hii kyaa kam tamaashe the yahaa.n
phir na.e manzar uThaa laayaa huu.n mai.n
Aashufta Changezi
Sher
is tamaashe me.n ta.assur ko.ii laane ke liye
qatl 'baanii' jise honaa thaa vo kirdaar thaa mai.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
is tamaashe kaa sabab varna kahaa.n baaqii hai
ab bhii kuchh log hai.n zinda ki jahaa.n baaqii hai
Faryad Aazar
Sher
itne dekhe hai.n zamaane ke tamaashe ham ne
ye bhii ab yaad nahii.n hai ki kahaa.n kyaa dekhaa
Khwaja Shauq
Sher
haqiiqat ko tamaashe se judaa karne kii KHaatir
uThaa kar baarhaa parda giraanaa pa.D gayaa hai
Mustafa Shahab
Sher
ye hijrato.n ke tamaashe ye qarz rishto.n ke
mai.n KHud ko jo.Dte rahne me.n TuuT jaataa huu.n
Moid Rasheedi
Sher
saarii maKHluuq tamaashe ke liye aa.ii thii
kaun thaa siikhne vaalaa hunar-e-parvaana
Shahzad Ahmad
Sher
mai.n vo gardan-zadanii huu.n ki tamaashe ko mire
shahr ke log kha.De hai.n ba-sar-e-baam tamaam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyaa KHabar thii ki tamaashe ko hunar karte hu.e
'umr kaT jaa.egii baazaar ko ghar karte hu.e
Zia Faooqui
Sher
vus.at tilism-KHaana-e-aalam kii kyaa kahuu.n
thak thak ga.ii nigaah tamaashe na kam hu.e
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise