SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarkhaa"
Sher MATCHES FOR "tarkhaa"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr me.n eid kii taariiKH badal jaa.egii
Jaleel nizami
Sher
baat karne kaa hasii.n taur-tariiqa siikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliiqa siikhaa
Manish Shukla
Sher
zaraa sii chaa.e girii aur daaG daaG varaq
ye zindagii hai ki aKHbaar kaa taraashaa hai
Aamir Suhail
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
Kashif Husain Ghair
Sher
jo Gazal aaj tire hijr me.n likkhii hai vo kal
kyaa KHabar ahl-e-mohabbat kaa taraana ban jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
sirf taariiKH kii raftaar badal jaa.egii
na.ii taariiKH ke vaaris yahii insaa.n ho.nge
Rais Amrohvi
Sher
zinda rahne kii ye tarkiib nikaalii mai.n ne
apne hone kii KHabar sab se chhupaa lii mai.n ne
Aleena Itrat
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
mai.n talKHi-e-hayaat se ghabraa ke pii gayaa
Gam kii siyaah raat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
aaj phir chaa.e banaate hu.e vo yaad aayaa
aaj phir chaa.e me.n pattii nahii.n Daalii mai.n ne
Taruna Mishra
Sher
mai-e-hayaat me.n shaamil hai talKHii-e-dauraa.n
jabhii to pii ke taraste hai.n be-KHudii ke liye