SEARCH RESULTS
Showing search results for "taule.n"
Sher MATCHES FOR "taule.n"
Sher
aap daulat ke taraazuu me.n dilo.n ko taule.n
ham mohabbat se mohabbat kaa sila dete hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
kufr-o-islaam me.n taule.n jo haqiiqat terii
but-kada kyaa ki haram sa.ng-e-taraazuu ho jaa.e
Muneer Shikohabadi
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
tumhaarii aa.nkho.n kii tauhiin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai
Munawwar Rana
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
kisii kaa ahd-e-javaanii me.n paarsaa honaa
qasam KHudaa kii ye tauhiin hai javaanii kii
Josh Malihabadi
Sher
Rasa Dehlvi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
KHud-kushii jurm bhii hai sabr kii tauhiin bhii hai
is liye ishq me.n mar mar ke jiyaa jaataa hai
Ibrat Siddiqui
Sher
Gam kii tauhiin na kar Gam kii shikaayat kar ke
dil rahe yaa na rahe azmat-e-Gam rahne de
Qamar Moradabadi
Sher
raat ko raat hii is baar kahaa hai ham ne
ham ne is baar bhii tauhiin-e-adaalat nahii.n kii
Saleem Kausar
Sher
Saba Afghani
Sher
uu.nchii u.Daan ke liye par taulte the ham
uu.nchaa.iyo.n pe saa.ns ghuTegii pataa na thaa
Aashufta Changezi
Sher
da.avaa bahut ba.Daa hai riyaazii me.n aap ko
tuul-e-shab-e-firaaq ko to naap diijiye
Akbar Allahabadi
Sher
ishq kartaa hai to phir ishq kii tauhiin na kar
yaa to behosh na ho, ho to na phir hosh me.n aa