Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Hunger

hameñ bhī fāqa-kashī ne kāfir banā diyā hai

ḳhayāl roTī ke aaj sajde meñ aa gaye the

hamein bhi faqa-kashi ne kafir bana diya hai

KHayal roTi ke aaj sajde mein aa gaye the

Muhammad Raza Hyderi

pariyoñ ke des vaalī kahānī bhī ḳhuub hai

bachchoñ ko jis ne phir yūñhī bhūkā sulā diyā

pariyon ke des wali kahani bhi KHub hai

bachchon ko jis ne phir yunhi bhuka sula diya

Ijlal Majeed

mire bachchoñ kā ab gustāḳh honā haq ba-jānib hai

jahāñ fāqoñ pe faaqe hoñ kahāñ ādāb aate haiñ

mere bachchon ka ab gustaKH hona haq ba-jaanib hai

jahan faqon pe faqe hon kahan aadab aate hain

Maulvi Aslam Waraich
Speak Now