TOP 20 SHAYARI of Saba Akbarabadi
ik roz chhīn legī hamīñ se zamīñ hameñ
chhīneñge kyā zamīñ ke ḳhazāne zamīñ se ham
ek roz chhin legi hamin se zamin hamein
chhinenge kya zamin ke KHazane zamin se hum
ḳhvāhishoñ ne dil ko tasvīr-e-tamannā kar diyā
ik nazar ne aa.ine meñ aks gahrā kar diyā
KHwahishon ne dil ko taswir-e-tamanna kar diya
ek nazar ne aaine mein aks gahra kar diya
raushnī ḳhud bhī charāġhoñ se alag rahtī hai
dil meñ jo rahte haiñ vo dil nahīñ hone paate
raushni KHud bhi charaghon se alag rahti hai
dil mein jo rahte hain wo dil nahin hone pate
ġhalat-fahmiyoñ meñ javānī guzārī
kabhī vo na samjhe kabhī ham na samjhe
ghalat-fahmiyon mein jawani guzari
kabhi wo na samjhe kabhi hum na samjhe
achchhā huā ki sab dar-o-dīvār gir paḌe
ab raushnī to hai mire ghar meñ havā to hai
achchha hua ki sab dar-o-diwar gir paDe
ab raushni to hai mere ghar mein hawa to hai
ishq aatā na agar rāh-numā.ī ke liye
aap bhī vāqif-e-manzil nahīñ hone paate
ishq aata na agar rah-numai ke liye
aap bhi waqif-e-manzil nahin hone pate
kab tak najāt pā.eñge vahm o yaqīñ se ham
uljhe hue haiñ aaj bhī duniyā o diiñ se ham
kab tak najat paenge wahm o yaqin se hum
uljhe hue hain aaj bhi duniya o din se hum
sau baar jis ko dekh ke hairān ho chuke
jī chāhtā hai phir use ik baar dekhnā
sau bar jis ko dekh ke hairan ho chuke
ji chahta hai phir use ek bar dekhna
ravāñ hai qāfila-e-rūh-e-iltifāt abhī
hamārī raah se haT jaa.e kā.enāt abhī
rawan hai qafila-e-ruh-e-iltifat abhi
hamari rah se haT jae kaenat abhi
azal se aaj tak sajde kiye aur ye nahīñ sochā
kisī kā āstāñ kyuuñ hai kisī kā sañg-e-dar kyā hai
azal se aaj tak sajde kiye aur ye nahin socha
kisi ka aastan kyun hai kisi ka sang-e-dar kya hai
aap ke lab pe aur vafā kī qasam
kyā qasam khaa.ī hai ḳhudā kī qasam
aap ke lab pe aur wafa ki qasam
kya qasam khai hai KHuda ki qasam
apne jalne meñ kisī ko nahīñ karte haiñ sharīk
raat ho jaa.e to ham sham.a bujhā dete haiñ
apne jalne mein kisi ko nahin karte hain sharik
raat ho jae to hum shama bujha dete hain
kamāl-e-zabt meñ yuuñ ashk-e-muztar TuuT kar niklā
asīr-e-ġham koī zindāñ se jaise chhūT kar niklā
kamal-e-zabt mein yun ashk-e-muztar TuT kar nikla
asir-e-gham koi zindan se jaise chhuT kar nikla
ga.e the naqd-e-girāñ-māya-e-ḳhulūs ke saath
ḳharīd laa.e haiñ sastī adāvateñ kyā kyā
gae the naqd-e-giran-maya-e-KHulus ke sath
KHarid lae hain sasti adawaten kya kya
ġham-e-daurāñ ko baḌī chiiz samajh rakkhā thā
kaam jab tak na paḌā thā ġham-e-jānāñ se hameñ
gham-e-dauran ko baDi chiz samajh rakkha tha
kaam jab tak na paDa tha gham-e-jaanan se hamein
samjhegā aadmī ko vahāñ kaun aadmī
banda jahāñ ḳhudā ko ḳhudā māntā nahīñ
samjhega aadmi ko wahan kaun aadmi
banda jahan KHuda ko KHuda manta nahin
kab tak yaqīn ishq hameñ ḳhud na aa.egā
kab tak makāñ kā haal kaheñge makīñ se ham
kab tak yaqin ishq hamein KHud na aaega
kab tak makan ka haal kahenge makin se hum
ā.īna kaisā thā vo shām-e-shakebā.ī kā
sāmnā kar na sakā apnī hī bīnā.ī kā
aaina kaisa tha wo sham-e-shakebai ka
samna kar na saka apni hi binai ka
aisā bhī koī ġham hai jo tum se nahīñ paayā
aisā bhī koī dard hai jo dil meñ nahīñ hai
aisa bhi koi gham hai jo tum se nahin paya
aisa bhi koi dard hai jo dil mein nahin hai
jab ishq thā to dil kā ujālā thā dahr meñ
koī charāġh nūr-badāmāñ nahīñ hai ab
jab ishq tha to dil ka ujala tha dahr mein
koi charagh nur-badaman nahin hai ab