barf aur aag
kuchh log ye kahte haiñ
duniyā aag meñ jal jā.egī
kuchh dūsre kahte haiñ
duniyā barf meñ dab jā.egī
maiñ ki jis ne
har ḳhvāhish kā maza chakhā hai
maiñ un meñ huuñ
aag ke haq meñ jo hoñge
lekin agar dubāra
kabhī fanā honā ho
mujh meñ itnī nafrat hai maiñ kah saktā huuñ
sab kuchh ḳhākistar karne ko
sach hai barf bhī kaafī hogī
kuchh log ye kahte hain
duniya aag mein jal jaegi
kuchh dusre kahte hain
duniya barf mein dab jaegi
main ki jis ne
har KHwahish ka maza chakha hai
main un mein hun
aag ke haq mein jo honge
lekin agar dubara
kabhi fana hona ho
mujh mein itni nafrat hai main kah sakta hun
sab kuchh KHakistar karne ko
sach hai barf bhi kafi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.