barf-baarii kii ek shaam jangal se guzarte hu.e
ye jangal kis kā jangal hai
maiñ shāyad jāntā huuñ
yahīñ ek paas ke gaañv meñ
shāyad us kā ghar hai
magar vo be-ḳhabar hai maiñ yahāñ huuñ
safar meñ chalte chalte ruk gayā huuñ
sabza sabza narm-o-nāzuk barf ke gaale
utarte dekhtā huuñ
mire mā'sūm ghoḌe ko ye hairat hai
maiñ arz-e-be-amāñ meñ kyoñ rukā huuñ
yahāñ jangal hī jangal hai
kisī jānib koī Thahrī huī sī
ek yaḳh-basta nadī hai
raat kaalī raat jaisī bebasī hai
mire ghoḌe kī hairat ne zabāñ paa.ī
gale kī ghanTī us ne yuuñ hilā.ī
maiñ ye kyā kar rahā huuñ
yahāñ jo dūsrī āvāz hai
vo to havā kā ek jhoñkā hai
vo saa.eñ saa.eñ jangal se guzartā hai
yahāñ ye narm-o-nāzuk
barf-bārī kī sadā-e-be-sadā hai
ye jangal kaisā suhānā kaisā pur-asrār
kitnā be-karāñ hai
magar us paar ke vā'de mujhe vāpas bulāte haiñ
maiñ thak kar lambī gahrī niiñd so jā.ūñ
mujhe is niiñd se pahle abhī kuchh duur jaanā hai
safar ke miil se rishta nibhānā hai
mujhe duur jaanā hai
ye jangal kis ka jangal hai
main shayad jaanta hun
yahin ek pas ke ganw mein
shayad us ka ghar hai
magar wo be-KHabar hai main yahan hun
safar mein chalte chalte ruk gaya hun
sabza sabza narm-o-nazuk barf ke gale
utarte dekhta hun
mere ma'sum ghoDe ko ye hairat hai
main arz-e-be-aman mein kyon ruka hun
yahan jangal hi jangal hai
kisi jaanib koi Thahri hui si
ek yaKH-basta nadi hai
raat kali raat jaisi bebasi hai
mere ghoDe ki hairat ne zaban pai
gale ki ghanTi us ne yun hilai
main ye kya kar raha hun
yahan jo dusri aawaz hai
wo to hawa ka ek jhonka hai
wo saen saen jangal se guzarta hai
yahan ye narm-o-nazuk
barf-bari ki sada-e-be-sada hai
ye jangal kaisa suhana kaisa pur-asrar
kitna be-karan hai
magar us par ke wa'de mujhe wapas bulate hain
main thak kar lambi gahri nind so jaun
mujhe is nind se pahle abhi kuchh dur jaana hai
safar ke mil se rishta nibhana hai
mujhe dur jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.