jaada-e-hasrat
ik jangal meñ do hī rāste jaate the
maiñ ek musāfir donoñ par kaise chaltā
us raste ko takā kiyā
jahāñ se rasta
nīche kī jānib jaatā thā
phir maiñ dūsre raste par chal niklā
vo bhī utnā hī achchhā thā
balki shāyad us se behtar
is raste par ghaas ugī thī
garche itnī taaza nahīñ thī
us raste kī ghaas to logoñ ke chalne se
kuchh ziyāda murjhā sī ga.ī thī
is sub.h to donoñ rastoñ par
kuchh patte gire hue the
aur pattoñ ko
kisī ke qadmoñ ne
ab tak rauñdā bhī nahīñ thā
maiñ ne sochā
us raste par agle din maiñ jā.ūñgā
garche ye bhī jāntā thā
ki raste kaise aage baḌhte jaate haiñ
aur vāpas aana kitnā mushkil hotā hai
maiñ ye qissa jug biite par
kabhī kahīñ dohrā.ūñgā
maiñ apnī sard aahoñ meñ
qissa ye dohrā.ūñgā
ik jangal meñ do raste jaate the aur
maiñ ne vo rasta apnāyā
jis par kam hī log ga.e the
aur isī se saarā farq paḌā hai
is jiine meñ
ek jangal mein do hi raste jate the
main ek musafir donon par kaise chalta
us raste ko taka kiya
jahan se rasta
niche ki jaanib jata tha
phir main dusre raste par chal nikla
wo bhi utna hi achchha tha
balki shayad us se behtar
is raste par ghas ugi thi
garche itni taza nahin thi
us raste ki ghas to logon ke chalne se
kuchh ziyaada murjha si gai thi
is subh to donon raston par
kuchh patte gire hue the
aur patton ko
kisi ke qadmon ne
ab tak raunda bhi nahin tha
main ne socha
us raste par agle din main jaunga
garche ye bhi jaanta tha
ki raste kaise aage baDhte jate hain
aur wapas aana kitna mushkil hota hai
main ye qissa jug bite par
kabhi kahin dohraunga
main apni sard aahon mein
qissa ye dohraunga
ek jangal mein do raste jate the aur
main ne wo rasta apnaya
jis par kam hi log gae the
aur isi se sara farq paDa hai
is jine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.