pahaa.Dii par ek makaan
vo sab jā chuke haiñ
ye ghar band hai aur chup hai
ki ab aur kahne ko kuchh bhī nahīñ hai
vo sab jā chuke haiñ
ye dīvāreñ ḳhasta haiñ kohna haiñ
jin se havā saa.eñ saa.eñ guzartī hai ruktī hai
yahāñ ab to koī nahīñ hai jo
burā yā bhalā kuchh kahe
ki ab aur kahne ko kuchh bhī nahīñ hai
to phir ham bhalā kyoñ
bhaTakte haiñ aise ḳharābe meñ āḳhir
yahāñ to koī bhī nahīñ hai
jo the sab ke sab jā chuke haiñ
hamāre ḳhayāloñ kī ḳhvāboñ kī parchhā.iyāñ
sab kī sab be-amāñ haiñ
ye sab rā.egāñ haiñ
ki ab aur kahne ko kuchh bhī nahīñ hai
pahāḌī pe ujḌā huā ye makāñ
ik khañDar hai yahāñ jo bhī the
sab ke sab jā chuke haiñ
ki ab aur kahne ko kuchh bhī nahīñ hai
wo sab ja chuke hain
ye ghar band hai aur chup hai
ki ab aur kahne ko kuchh bhi nahin hai
wo sab ja chuke hain
ye diwaren KHasta hain kohna hain
jin se hawa saen saen guzarti hai rukti hai
yahan ab to koi nahin hai jo
bura ya bhala kuchh kahe
ki ab aur kahne ko kuchh bhi nahin hai
to phir hum bhala kyon
bhaTakte hain aise KHarabe mein aaKHir
yahan to koi bhi nahin hai
jo the sab ke sab ja chuke hain
hamare KHayalon ki KHwabon ki parchhaiyan
sab ki sab be-aman hain
ye sab raegan hain
ki ab aur kahne ko kuchh bhi nahin hai
pahaDi pe ujDa hua ye makan
ek khanDar hai yahan jo bhi the
sab ke sab ja chuke hain
ki ab aur kahne ko kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.