richard cory
ye cory bhī kyā shaḳhs thā
jab kabhī shahr ke in mazāfāt meñ aa nikaltā
hamārī tarah ye saḌak ke kināroñ pe baiThe
hue log
us kī taraf dekhte the
vo sar-tā-pā kaisā sharīf nek-sīrat thā
kaisā chharerā badan thā
hamesha sharīfāna kapḌe pahantā
vo jab bāteñ kartā baḌī dard-mandī se kartā
vo jab bhī salām-o-du’ā kartā lagtā
ki hāthoñ meñ nabz us kī ab phaḌphaḌāne
lagī hai
vo jab sāmne se guzartā
to jaise koī ik chamak sī guzartī
bahut paas daulat thī us ke
shahanshāhoñ se bhī kahīñ ziyāda
daulat kā mālik thā vo
vo har taur kyā ḳhush-salīqa thā
hameñ aisā lagtā ki us meñ vo sab hai
jo ham jaise logoñ meñ
us jaisā banñe kī ḳhvāhish jagā de
hamāre shab-o-roz yuuñ hī guzarte rahe
ki ham raushnī ke liye yuuñ hī marte rahe
hāthoñ meñ aa.ī huī roTiyoñ pe
malāmat hī karte rahe
kabhī saath sālan bhī hotā
magar apnā cory bhī kyā shaḳhs thā
garmiyoñ kī suhānī sī ik raat ko
ghar gayā aur chupke se pistaul kī ek golī
sar ke us paar kar lī
ye cory bhi kya shaKHs tha
jab kabhi shahr ke in mazafat mein aa nikalta
hamari tarah ye saDak ke kinaron pe baiThe
hue log
us ki taraf dekhte the
wo sar-ta-pa kaisa sharif nek-sirat tha
kaisa chharera badan tha
hamesha sharifana kapDe pahanta
wo jab baaten karta baDi dard-mandi se karta
wo jab bhi salam-o-du’a karta lagta
ki hathon mein nabz us ki ab phaDphaDane
lagi hai
wo jab samne se guzarta
to jaise koi ek chamak si guzarti
bahut pas daulat thi us ke
shahanshahon se bhi kahin ziyaada
daulat ka malik tha wo
wo har taur kya KHush-saliqa tha
hamein aisa lagta ki us mein wo sab hai
jo hum jaise logon mein
us jaisa banne ki KHwahish jaga de
hamare shab-o-roz yun hi guzarte rahe
ki hum raushni ke liye yun hi marte rahe
hathon mein aai hui roTiyon pe
malamat hi karte rahe
kabhi sath salan bhi hota
magar apna cory bhi kya shaKHs tha
garmiyon ki suhani si ek raat ko
ghar gaya aur chupke se pistaul ki ek goli
sar ke us par kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.