khile haiñ phuul peḌoñ par
maiñ un ke paas baiThā huuñ
liye miinā ko pahlū meñ
akele bāda-noshī kar rahā huuñ maiñ
kahāñ haiñ mere sāthī haañ kahāñ haiñ sab mire sāthī
vo lo mahtāb mujh ko dekhtā hai āsmānoñ se
daraḳhshānī ko is kī dekh kar maiñ ne uThāyā haath meñ sāġhar
pukār uThThā
ye dekho aage aage mere larzāñ hai mirā saaya
nahīñ ham tiin haiñ ham tiin haiñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
agarche māh-e-raḳhshāñ bāda-noshī kar nahīñ saktā
mire har tarf saaya bhī mirā bas raqs kartā hai
magar ham aaj sab sāthī haiñ tīnoñ tīnoñ sāthī haiñ
sharābī māh-e-raḳhshāñ aur mirā saaya
maiñ gaatā huuñ mai-e-vahshī fazāoñ meñ ḳhirāmāñ hai
maiñ raqsāñ huuñ mirā saaya bhī har-sū laḌkhaḌātā hai
abhī bedār haiñ ham aao mahv-e-‘aish ho jaa.eñ
bas ik mīThī sī madhoshī meñ hī is darja quvvat hai
ki vo ham ko judā kar de
chalo ham aaj ik is qism kā 'ahd-e-vafā bāñdheñ
ki ye insān jo faanī haiñ is ko jaan sakte hī nahīñ hargiz
ham aksar is jagah aa kar mileñge shaam ke nam-dār lamhoñ meñ
khulī phailī huī bhīgī huī rangīñ fazāoñ meñ
khile hain phul peDon par
main un ke pas baiTha hun
liye mina ko pahlu mein
akele baada-noshi kar raha hun main
kahan hain mere sathi han kahan hain sab mere sathi
wo lo mahtab mujh ko dekhta hai aasmanon se
daraKHshani ko is ki dekh kar main ne uThaya hath mein saghar
pukar uThTha
ye dekho aage aage mere larzan hai mera saya
nahin hum tin hain hum tin hain tanha nahin hun main
agarche mah-e-raKHshan baada-noshi kar nahin sakta
mere har tarf saya bhi mera bas raqs karta hai
magar hum aaj sab sathi hain tinon tinon sathi hain
sharabi mah-e-raKHshan aur mera saya
main gata hun mai-e-wahshi fazaon mein KHiraman hai
main raqsan hun mera saya bhi har-su laDkhaData hai
abhi bedar hain hum aao mahw-e-‘aish ho jaen
bas ek miThi si madhoshi mein hi is darja quwwat hai
ki wo hum ko juda kar de
chalo hum aaj ek is qism ka 'ahd-e-wafa bandhen
ki ye insan jo fani hain is ko jaan sakte hi nahin hargiz
hum aksar is jagah aa kar milenge sham ke nam-dar lamhon mein
khuli phaili hui bhigi hui rangin fazaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.