raat jab ḳhatm huī sub.h kī surḳhī aa.ī
din magar ziist ke apne na kabhī lauT sake
ravish-e-bāġh pe gulhā-e-mo'attar bikhre
maut kī tarh unheñ le gayā bahtā paanī
jangaloñ meñ thā sukūñ chhā.ī thī ik ḳhāmoshī
miT gayā sehr vo dariyā huā jab tūfānī
zāviya chashm kā rakhtā hai ufuq ko dil meñ
yaad baaqī hai bahāroñ kī dil-e-bismil meñ
shahr ko chal ki vo hangāme bhulā.eñge tujhe
haañ vahī dard se āzādī dilā.eñge tujhe
is jagah biit chukā mausam-e-gul biit chukā
aur zamīñ mahv hai ab ġham hai bahut hī gahrā
raat jab KHatm hui subh ki surKHi aai
din magar zist ke apne na kabhi lauT sake
rawish-e-bagh pe gulha-e-mo'attar bikhre
maut ki tarh unhen le gaya bahta pani
jangalon mein tha sukun chhai thi ek KHamoshi
miT gaya sehr wo dariya hua jab tufani
zawiya chashm ka rakhta hai ufuq ko dil mein
yaad baqi hai bahaaron ki dil-e-bismil mein
shahr ko chal ki wo hangame bhulaenge tujhe
han wahi dard se aazadi dilaenge tujhe
is jagah bit chuka mausam-e-gul bit chuka
aur zamin mahw hai ab gham hai bahut hi gahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.