vo to ek Tahnī hai khule hue phūloñ se ladī huī
jis par os kī anginat būñdoñ kā baserā ho
vo to us gum-shuda parī jaise ruup vaalī hai
jis ne ek kahānī meñ
apne ko nazroñ se chhupā kar kisī raaja ko ranjīda kiyā thā
zarā kahiye to sahī ki haañ ke mahal meñ
sivā.e ek purāne raajā kī mahbūba ke
koī bhī husn-o-jamāl meñ us kī saanī hai
wo to ek Tahni hai khule hue phulon se ladi hui
jis par os ki anginat bundon ka basera ho
wo to us gum-shuda pari jaise rup wali hai
jis ne ek kahani mein
apne ko nazron se chhupa kar kisi raja ko ranjida kiya tha
zara kahiye to sahi ki han ke mahal mein
siwae ek purane raja ki mahbuba ke
koi bhi husn-o-jamal mein us ki sani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.