mire pyāre yahāñ the tum to maiñ ne ghar ko phūloñ se sajāyā thā
mire pyāre nahīñ ho tum yahāñ ab sej suunī hai
bichhaunā sej par lipTā rakhā hai so nahīñ saktī
vo ḳhushbū chhoḌ kar jis ko ga.e the aaj bhī mahsūs hotī hai
vo ḳhushbū har ghaḌī rahtī hai mere paas lekin tum kahāñ ho ai mire pyāre
maiñ ThanDe saañs bhartī huuñ
gire jaate haiñ patte Tahniyoñ se peḌ kī murjhā ke dhartī par
maiñ rotī huuñ
harī maḳhmal pe dhartī kī chamaktī os kī būñdeñ
mere pyare yahan the tum to main ne ghar ko phulon se sajaya tha
mere pyare nahin ho tum yahan ab sej suni hai
bichhauna sej par lipTa rakha hai so nahin sakti
wo KHushbu chhoD kar jis ko gae the aaj bhi mahsus hoti hai
wo KHushbu har ghaDi rahti hai mere pas lekin tum kahan ho ai mere pyare
main ThanDe sans bharti hun
gire jate hain patte Tahniyon se peD ki murjha ke dharti par
main roti hun
hari maKHmal pe dharti ki chamakti os ki bunden
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.