kabhii kabhii jab tanhaa baiThaa hotaa huu.n
kabhī kabhī jab tanhā baiThā hotā huuñ
ik dard kī kaifiyat an-būjhī an-jānī
ik bechainī sī dil ko aan satātī hai
tab saarī pahāḌī bādaloñ meñ ghir jaatī hai
aur sard havā
vaadī ke dahāne par siskāriyāñ bhartī hai
ik bandar aa kar Tahniyoñ ko lachkātā hai
ik panchhī aa kar tīkhī haañk lagātā hai
aur vaqt ke hāthoñ kaale bhūre bādaloñ par
har roz sapedī kī tah chaḌhtī jaatī hai
ye saal gayā
sukh chain kiyā pāmāl gayā
ab piirī rang jamātī hai
kabhi kabhi jab tanha baiTha hota hun
ek dard ki kaifiyat an-bujhi an-jaani
ek bechaini si dil ko aan satati hai
tab sari pahaDi baadalon mein ghir jati hai
aur sard hawa
wadi ke dahane par siskariyan bharti hai
ek bandar aa kar Tahniyon ko lachkata hai
ek panchhi aa kar tikhi hank lagata hai
aur waqt ke hathon kale bhure baadalon par
har roz sapedi ki tah chaDhti jati hai
ye sal gaya
sukh chain kiya pamal gaya
ab piri rang jamati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.