dariyā ke kināre par
chuntī hai vo nīlūfar
bāteñ kiye jaatī hai
vo saath kī sakhiyoñ se
chuhleñ kiye jaatī hai
sharmā.e se phūloñ se
kirnoñ se banā paanī
shaffāf sā ā.īna
'aks us meñ nazar aayā
pairāhan-e-rangīñ kā
ḳhushbū se mo'attar hai
dāman jo gul-e-tar kā
āvāra havāoñ se
larzish huī aur thirkā
lekin vo kināre par
do chaar savār aa.e
āvezāñ haiñ jo shāḳheñ
in shāḳhoñ ke pattoñ meñ
hathiyār chamak uTThe
phūloñ meñ sadā aa.ī
har asp ke Tāpoñ kī
ruḳhsat vo hue saare
ojhal haiñ nigāhoñ se
in sab ne unheñ dekhā
dil Dar se laraz uThThā
dariya ke kinare par
chunti hai wo nilufar
baaten kiye jati hai
wo sath ki sakhiyon se
chuhlen kiye jati hai
sharmae se phulon se
kirnon se bana pani
shaffaf sa aaina
'aks us mein nazar aaya
pairahan-e-rangin ka
KHushbu se mo'attar hai
daman jo gul-e-tar ka
aawara hawaon se
larzish hui aur thirka
lekin wo kinare par
do chaar sawar aae
aawezan hain jo shaKHen
in shaKHon ke patton mein
hathiyar chamak uTThe
phulon mein sada aai
har asp ke Tapon ki
ruKHsat wo hue sare
ojhal hain nigahon se
in sab ne unhen dekha
dil Dar se laraz uThTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.